Sadaa ye deta hai maqtal me lasha e shabbir,
Hussain ho gaya majboor ay meri hamsheer,
Kafan jo ho ta mayyasar tumhein rida deta,
Kahan se laae baradar rida bahen ke liye,
Hussain ho gaya mohtaj khud kafan ke liye......2

Kafan  nahi hai mayassar ye khak haina bahen,
Tu ran ki khaak se baaalo ko dhap lena bahen,
Banegi khaak ye chadar mere badan ke liye. ...
Hussain ho gaya mohtaj khud kafan ke liye......
Kahan se laae baradar rida bahen ke liye,
Hussain ho gaya mohtaj khud kafan ke liye......
Aseer zulmo jafa ho gae hai ham dono,
Watan se aake juda ho gae hai ham dono,
Tu apne bhai no tarsii hai mai bahen ke liye....
Hussain ho gaya mohtaj khud kafan ke liye......
Kahan se laae baradar rida bahen ke liye,
Hussain ho gaya mohtaj khud kafan ke liye......
Aseer hoke yahan se tuh shaam jaegi,
Hamari laash toh ghodo se rondhi jaegi ,
Saza ye sochi  hai ummat me panjetan ke liye. ..
Hussain ho gaya mohtaj khud kafan ke liye......
Kahan se laae baradar rida bahen ke liye,
Hussain ho gaya mohtaj khud kafan ke liye......
Rida bhi sarpe nahi hai no khud bahen dede,
Koi toh aake mere bhai ko kafan dede,
Ye bain qarz the zainab tere dahen ke liye.....
Hussain ho gaya mohtaj khud kafan ke liye......
Kahan se laae baradar rida bahen ke liye,
Hussain ho gaya mohtaj khud kafan ke liye......
Garib tu bhi hai zainab tera akhi bhi garib,
Hai khaaak mera muqaddar rasan hai tera  naseeb,
Mai is mahen ke liye tha tu us mahen ke liye..
Hussain ho gaya mohtaj khud kafan ke liye......
Kahan se laae baradar rida bahen ke liye,
Hussain ho gaya mohtaj khud kafan ke liye......
Zamane bhar se joh FARHAAN log jaate hai,
Wo KARBALA se kafan bhi zarur laate hai,
Salaam likha hai MAZHAR ne is sukhan is liye......