Ro rahi hai tumhari sakina.....4
Laut  aao chacha alkama se pyase ashko se apni bujha lungi.....
Ab mai pani na mangungi.....2
Aur kuch roz pyaase rahe bhi toh kya,
Pyaas se badhke gam aapka hai cahcha,
Koi degana ab al atash ki sada....
Laut  aao chacha alkama se...........
Pyaase bacho ko  mai khud mana lungi.......
Ab mai pani na mangungi.....2
Pani aae na aae mujhe gham nahi,
Par ye furkat yatimi se kuch kam nahi,
Yu samajh lo chacha tum nahi ham nahi ,
Laut  aao chacha alkama se...........
Maina shikwa kabhi lab pe laungi.....
Ab mai pani na mangungi.....2
Zalimone mujhe besahara kiya,
Maine kaato pe chalna gawara kiya,
Dil ke zakhmo ne nauha dubaara kiya,
Laut  aao chacha alkama se...........
Sab ghamo ko gale se laga lungi......
Ab mai pani na mangungi.....2
Yu sitamgar mujhe ab satane lage,
Paani mujhko dikhakar bahane lage,
Zakhm dil ke tumhe fhir bulaane lage,
Laut  aao chacha alkama se...........
Zalimo se tamache bhi khalungi......
Ab mai pani na mangungi.....2
Raah me mil bhi jaega pani agar,
Daal dungi mai aabid ki zanjeer par,
Haan ye nauha rahega labo  par magar,
Laut  aao chacha alkama se...........
Pyaasa rehna mai khud no sikhaa lungi.....
Ab mai pani na mangungi.....2
Chal basi qaid khane me jab ghamzada,
Ghusl mayyat ko pani mayyasar na tha,
Aae laashe sakina se us dam sada,
Laut  aao chacha alkama se...........
Mai bina ghusl ke hi sidharungi.....
Ab mai pani na mangungi.....2
Ek din shaam farhano mazhar gae,
Ek mashqiza pani ka lekar gae,
Ek sada sunke aysa laga mar gae,
Laut  aao chacha alkama se...........
Apna wada yahan bhi nibhalungi
Ab mai pani na mangungi.....2
Ro rahi hai tumhari sakina.....2