Haaye... Jab karbala ki simt badha haq ka rahnuma.. kuch aagaya khayal jo maa ke mazaar ka aaya sue baqi wo... zahra ka laadla rukhsaar rakhke sadre lahad, par ye di sadaa chhut-ta hai ab madina mere, dil ko thaam lo amma ghareeb bete ka aakhir salaam lo amma tumhare laal se, chut-ta hai aaj ghar amma tumhare laal se, bargashta har nazar amma tumhare laal ka dushman hai har bashar amma tumhare laal ka hai aakhri safar sehra mein dil ke tukdo'n ki basti basaega amma hussain ab na madine mein aayega maa se ye keh raha tha abhi maa ka laadla awaaz aayi qabr se, aye mere mehlaqa sadqe teri musibat o ghurbat ke fatema bus aye hussain bus ke hila, arshe kibriya tadpe ab hasan bhi dile beqaraar se beta rasool e haq nikal aaye mazaar se aye mere laal tere iraado'n ke mai nisaar ye aakhri safar hai mere dil ka izteraar kaise kahu'n jo dil pe guzarti hai gul azaar hota hai be charaagh mere baap ka mazaar jo tujh pe zulm honge ye dukhiya uthayegi beta ye ghum-naseeb tere saath jayegi aansu bahaungi tere ranjo alam ke saath aankhein bichaungi tere nakshe qadam ke saath zehra nedhaal hogi har ek taaza ghum ke saath mera kaleja niklega akbar ke dum ke saath ghabra na mere laal har ek dukh bataungi mai tere saath laasha e akbar uthaungi jaaega tu jo neher pe bhai ki laash par mai tere saath saath chalungi barehna sar beta hussain kya tujhe is ki nahi khabar abbas tera bhai to mera dilo jigar tu laashe layega to safe ghum bichaungi mai god mein kate hue haatho'n ko laungi beta hasan ke laal ki khatir ye kya malaal mere hasan ne tujhpe nichawar kiya wo laal fidye ke waaste koi karta hai yu malaal beta mai us ghadi bhi rahungi shareek e haal ghum hai qadam uthake dile paash paash ke tukde chunungi rann mein mai qasim ki laash ke haan mere laadle meri zainab se hoshiyaar be parda ho na jaye kahi'n meri pardadaar mehmil ke saath saath ho abbas e zee'n weqaar takeed ho ye akbar e mehroo ko baar baar aamada har qadam pe rahe peshwayi ko takleef ho na raah mein zehra ki jaayi ko jaa marqad e rasool pe aye mere laal afaam lazim hai nana jaan ko bhi aakhri salaam dena meri taraf se ye hasrat bhara payaam mumkin nahi madine mein zehra kare qayaam tum bhi lahu mein apna chaman dekhne chalo zainab ke bazuo'n mein rasan dekhne chalo..(2)